Apun ko sms ka hafta nahi aarela hai,
Apun ko malum hai tere pass sms ka khazana padela hai,
Jaldi se 2-4 jhakas sms ka hafta bhej kanjoos?
Apka Pyara
Munna Bhai
Munna:
Teray ko maaloom hai k cigarette
aik tarah say slow poison ka kaam karta hai.
Patient: To mujhay konsa marnay ki jaldi hai.
Munna:
Bolay to Apun ko tera
operation dobara karna paray ga.
Kyun k apun kay rubber k gloves
teray andar hi reh gaye hain.
Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do.
Mien tumharay gloves ki payment kar doon ga.
Munna:
Meray paas aik buri khabar hai, aur aik buhat hi buri khabar
hai teray wastay.
Patient: Acha to pehlay buri khabar suna daal.
Munna: Apun k paas jo teri report pahunchi us mien likha
tha k teray
paas sirf 24 ghantay hain zinda rehnay k liye.
Patient: Sirf 24 ghantay. is say buri khabar kya ho sakti
hai.
Munna: (Jadu ki Japhhi Dalte Hoauy) Mien kal say teray tak
pahunchnay ki koshish kar raha hoon.
Circuit,
Bhai bole to bachpan
mein apun 20th Floor se gir gaya tha.
Munna Bhai, Aisa kya? To fir
bach gaya tha ya mar gaya tha?
Circuit, Abhi jaane do na bhai itni purani baat
Bole to ab apun ko jyada yaad nahin!!