MUNNA BHAI: Toh phir, yeh Oxford kya hai?
CIRCUIT: Bole toh, simple hai bhai, Ox mane Bail,
Ford mane gaadi. Oxford bole toh Baelgaadi.
Circuit, Bhai bole to bachpan
mein apun 20th Floor se gir gaya tha.
Munna Bhai, Aisa kya? To fir
bach gaya tha ya mar gaya tha?
Circuit, Abhi jaane do na bhai itni purani baat
Bole to ab apun ko jyada yaad nahin!!
Munna: Meray paas aik buri khabar hai, aur aik buhat hi buri
khabar hai teray wastay.
Patient: Acha to pehlay buri khabar suna daal.
Munna: Apun k paas jo teri report pahunchi us mien likha
tha k teray
paas sirf 24 ghantay hain zinda rehnay k liye.
Patient: Sirf 24 ghantay. is say buri khabar kya ho sakti
hai.
Munna: (Jadu ki Japhhi Dalte Hoauy) Mien kal say teray tak
pahunchnay ki koshish kar raha hoon.
Munna:
Abay Circuit! Jaa baajo walay ghar say Doctor ko bula k laa,
meri tabiat kharab ho reli hai.
Circuit: Aey Bhai ! aap to khud doctor ho.
Munna: Bolay to meri fees buhat zyada hai na.
Munna: Bolay to Apun ko tera
operation dobara karna paray ga.
Kyun k apun kay rubber k gloves
teray andar hi reh gaye hain.
Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do.
Mien tumharay gloves ki payment kar doon ga.
Munna:
Teray ko maaloom hai k cigarette
aik tarah say slow poison ka kaam karta hai.